
Ha log hamesha se hi perception rakhte hai jb hum 3rd 4th 5th class me hote hai aur marks ke basis par wo comparison wahi ho jata hai iske to marks bhi Nhi ate ye buddhu hai isse padhai Nhi hogi ye pass ho jaye ya pass kara do karke ek bache ko inferiority se bhar diya jata hai jisse uski aur kuch karne ki desires aur possibilities bhi wahi kam ho jati hai aur dheer dheere samajh ke abhav me khatm hone lagti hai ya yu kaho ki use bhi sabki bato ka bharosa hone lag jata hai aur bacha apne ap ko wahi shape dene lag jata hai usse kuch Nhi hoga aur is bhavna se sabko dekhta hai ki wo to lachar hai ab uski koi maddad karega yha se bahar nikalne me par ye bhi Nhi hota samajh ke abhav me uska bachpan nikal jata hai aur wah yuva hone ke bad bhi kahi se samajh Nhi develop kar pata uski adhi zindagi yu hi dilemmas me nikal jati hai koi help ka de ‘ koi sochne ka tarika develop kara de, koi sahi direction de de par ye soch us bache ki bht hi galat hai kyu ki ye hi wo log hai jinhone use is situation me dala tha to wo ab help kyu krenge wo ye tk NHI soch pata hai. Jaise jaise 33% marks ke sath pass hoke age badhta hai to confidence ata h utna buddhu bhi NHI tha jitna sabne judge kiya tha mai to pass ho gya fir aur mehnat aur lagan ke sath age badhta hai 55% par fir aur zyada 77% aur fir 80% se bhi upar aur ab uski mehnat aur lagan sabki dharnaye todkar ek nayi kahani uske bare me batati hai aur yakeen dilati hai ye bas “paramparik soch aur dharnaye hai “reality kuch alag hai 1.isse wo ho Sakta hai jo ye soch sakta hai 2.ye har us chez ke layak hai jise isne apni mehnat se banaya aur logo ki dharnaye tod sach ko dkha 3.isme doosro se zyada chamtaye hai kyu ki isko “ mehnat” se Sb sambhav hai ye pta hai Apni Sb shreniya khtam kar mehnat aur lagan se age badhna Meri zindagi ka ek hi paimana hai jo sahi hai wha kisi ki rai nhi leni hai’ wah karo jo sahi hai aur asambhav ki seema se age nikalkar hi sambhav ayega



















