
mujhe lagata hai kewal financial freedom hi kafi nhi hota hai .Mahilaon ko unke tarike se jeene dena yanh bhi Ati aavashyak hota hai . Maine apne ghar me dekha hai meri Maa ek Government teacher hai wo financial to independent hai pr 99% wo mere pitaji ke uper depend hai ..To ek Independent woman ho jaana yanh nhi Darshata ki wah mahila sabhi bandhano se Mukt hai . Agar samaj ko mahilaon ko Sach me Samman dena hai to wah use Chetana ke star pr mukt kr de , mahila ko khud ke hisab se chalane ke liye chhod de fir Hume mahilaon ke liye kisi suraksha kisi vyavastha ki awasyakata nhi padegi. women me fir khud apni rah banane ki shakti utpanna ho jayegi fir kisi bhi samaj ko uska fikr karne ki jarurat nhi hogi bs Women ko Azad sochane aur Jeene diya jaye ....🙏🙏🙏🙏



















