
hmare yha ak ghatna ghti kuch dino pehle ak 17saal ki ladki ki abhi hi kuch mhino pehle shadi hui woh ak mhine pehle hi mar gay mujhe to pehle shak lga ki kuch affair hoga to ownerkiling hi rha hoga kyunki hum jiss samaj me rehte hain vha ijjat se jyada kuch nhi woh bhi thopi hui ijjat jiiska boj agar uss ghar ki ladki n uthaye to ghar me parivar dwara mar dete hain aur fir bahar yeh batein felate hain ki sucide kar diya to mujhe to yeh shak tha par fir mujhe kisise yeh janne ko mila ki uss ladki ki shadi me usne eye lens pehan rkhe the joki vah chasme hi lagati thi par shadi ke samay jo pehnava hota hain usse match nhi hote chasme isiliye usne lens pehne the aur kisi laprvai se eye cancel ho gya yeh to lens ho gye par kitne hi cosmetic use karne pdte hain gora rang karne ke liye jo pure hi camical hain aur usse kai tavcha ki bimariya bhi hoti hain yeh mujme bhi dekhti hoon ki mera jo sundrta ka pemana hain wah samajik manko ke andar hi hain balki aaropit manak jisko tho rhi hoon abhi bhi



















