
nahi hum sahi jimmedari nibha nahi sakte ,kuki hume padhne se zyada chugli aur gossip ka shok hai,hum sirf discuss karke gyan lene wale log hai , kisi lekhak ki respect ya kisi ke bhav ki respect na hume kisi ne sikhayi na humne padhe likhe hone ke bad bhi is par dhyan diya,maine apne jeevan me ye bhi dekha hai jiske pas 4-5 books hai bhi aur wo kahi se kharid laye hai aur pdhi nahi hai kabhi to ghrwale kehte kitabo me paise mat khrab karo aur jo tmhare pas hai unko de do kisi ko matlb bech do,aur isi soch ke sath mahan bhartiya peedhiya aage badh rahi hai. Agar sabko unke man ki ek ek line ya ek paragraph likhne ko bol diya jaye to sambhana hai k likh nhi nhi paye aur adhe to koshish bhi na kare tb jakr ye ehsas hoga kisi ko ke ek lekhak ya poet koi kaise Banta hai 🇮🇳jai hind



















