
Jab hm kisi bhi bat ko bina janch padtal ke bina prshn pooche yu hi man lete hain aur usi ke anuroop apna vyvhar bhi dhal lete hain .yahi aantarik behoshi hai ya ise ahnkar ka nasha bhi kah sakte haon jisme hme lagta hai jo hm man baothe hain bs vahi satya hai. Aur agar koi prashn Is jhooti banayi chavi ko jhakjhorta bhi hai tobhi hm us dastak ko unsuna krke apni chavi ko kayam rakhne ke liye naye aur jhoot ka mukhauta laga t lete hain vadtav me Andhvishvash matr apne hi Ahankar ko phalne phoolne hetu banayi gayi dharna hai jisme samaj ik manytaye bhi samil ho jati hain. Andhvishvash kewal Ahnkar ki behoshi ka doosra naam matr hai aur kuch bhi nahi jiska astitav kewal aur kewal jhoot hai. jaise hi hm Satya ke nazar se dekgete hain to ye andhviahvas us pani ke bulbule ki tarah hi mit jata hai jo barish ki boond pafne se kuch pal to dikh raha tha pr vadtav me to hai hi nahi.


















