
Han Kabhi - Kabhi Dekh pate hai, kyunki hame aisa Lagta hai ki abhi hamare ander itni samjh Nahi hai kyunki abhi aadha - adura gyan hamare pass hai jisse ham Sahi conclusions par Nahi pahuch pate hai lakin Kuch cheezo ko ham samjhkar Sahi fact pakad Lete hai ,hamare aaspass bahut sari aise manytaye hai Jo Kisi bhi normal baat ko bhi special Bana deti hai Jaise Ghar Mai sarp Ka nikalna ,jab bhi Ghar Mai sarp Aata hai SAB log uski pooja Karne lagte hai bhagvan aa gye lakin door se jab vo pass aata hai or Ghar Mai Jata hai to mar Diya Jata hai ham samjh Nahi pate ye kaise bhakt or kaise bhakti ,abhi hal hi Mai MERI mummy ne mujhse Bola ki Mandir chali ja JAL chadaya Saman sombaar chal rahe hai Maine poocha kyun? Mai Nahi ja rahe to vo mujhe datne lagi ki aachary Ji ko sunkar too nastik ban gyi, Maine bola nastik Nahi sachchi aastik ban gyi, or vaise bhi mere parbhu mere Dil Mai baste hai , vo din Yaad hai mujhe Mai Mandir Nahi gyi the lakin khud sarp mujhse Milne Aa gya tha tab Maine mummy se Bola Dekha Maine Bola tha na mere Dil Mai baste hai ishvar isiliye to vo khud Milne aa gye mujhse MERI bakti jyada sachchi or Pavitra hai real wali na ki dikhave wali,is Tarah Maine normal baat ko bhi special Bana Diya tha🤔 🙏 🕉️


















