
agar panchayat ko adhikar, paisa aur jaeabdehi tino mil jaye, to bhi keval vyavastha badlnese se gav nhi badal jayega, use chalane valo ki praathmiktaye bhi badalni hogi. aur praathmikta to vo apne swarth ko hi dete hai. unka apna hit sadhne के bad jo bachta hai vo fir gav ke vikas mein lgta hai.gav ke prati unki koi jimmedari hai aisa unko lgta bhi nhi, apna swarth hi sbse aage hota hai. to yha bat apni niyat ko saf krne ki jarurat ki hai , nhi to vyavastha kitni bhi achhi bna di jaye, aakhir use chalane vale to manushya hi hai, vahi purani apni praathmiktaye, niji swarth, aur sankirn pahchan nirnayo को chala rhe ho to keval satta ka sthan bdlne se parinam nhi bdlega, ye aisa hi chalta aya hai aur yhi chal rha hai. aur hm jab dekhte hai gav mein panchayat ko adhikar,paisa aur jawabdehi sab kuch mil jane ke bad bhi kuch bhi badlaav nhi hota, aur hota bhi hai to vo pura sachhai ke sath nhi hota, grampanchayat ko yojnaye to milti hai, pr kha jati hai pta nhi chalta,sab kuch jhooth chalta hai hr taraf. isme kam krnevale log sb apne apne swarth के liye kam krte hai.sarkar se aanevala paisa gav ke vikas ke liye to 20% lagate honge, baki to sb kaha jata hai ye to hm sbko pata hai.


















