
mai bhi bahar kaam karne nikali hu. Mera bhi yahi haal raha kai kaam the pr chunaaw nhi ho paa rha tha ki konsa karu? konsa behtar hoga? ek kaam ko finally kiya one month aur fir samjh aaya ki kya chahiye tha aur kya mission hai ismai. mujhe aawadi aur privacy chahiye pr waha hr kaam ke liye puchna padh rha tha....bahar nikalne tak ke liye apne personal kaam ke liye bhi puchna pad rha tha....dusri jagah aai aab yaha ek din hi hua hai aur acha nhi lag rha kyuki privacy nhi hai... pr aaj ye post dekhi to ye samjha ki kaha pr sochne ki jarurat hai... kya sach mai wahi baat hai jo mai khud se keh rhi hu ya kuch aur baat hai jo mai khud hi khud se chupa rhi hu. jab chije karne lagti hu to understand hota hai ki kya chahiye tha aur kyu chahiye tha aur wo nhi mila to kya hua mere saath.


















